Gham e Yaar Ki Judai Se, Phir Aankh Bhar Aayi Hai,
Tere Aakhiri Didar Ki, Phir Shaam Yaad Aayi Hai.

Aksar Tanhayi Me, Tera Intjaar Kiya Karte The,
Chup-Chup Kar Tumse, Aankhe Char Kiya Karte The,
Hum To Sunte The, Teri Har Baat Gaur Se Magar,
Ab To Door-Door Tak, Bas Viraaniya Hi Chayi Hai.

Tere Aakhiri Didar Ki, Phir Shaam Yaad Aayi Hai.

Tere Jane Ka Pehle Itna, Gum Na Kiya Karte The,
Har Rooj Hi Sahi, Par Thodi-Thodi Piya Karte The,
Tab Ye Ehsas Na Tha, Is Kadar Tadpega Dil,
Ab To Muskil Se, Har Raat Gujar Payi Hai.

Tere Aakhiri Didar Ki, Phir Shaam Yaad Aayi Hai.

Yun To Hum Apne Zakhm, Kisi Ko Na Dikhaya Karte The,
Par Kabhi-Kabhi Dil Ki Baat, Gungunaya Karte The,
Mere Baad Ab Jab Bhi Koi, Sunega Meri Gazal,
Sunkar Yahi Kahega, Chot Dil Pe Khai Hai.

Tere Aakhiri Didar Ki, Phir Shaam Yaad Aayi Hai.



~~SANJU~~